Harf

By Parvaaz

On Kun

Released on October 18, 2019

Thumbnail

Bewajah zarf kyun

Harf jo hai badshah

Bezubaan ki zubaan

Pe haal-e-dil hai raazdaan

Rehnuma bas harf kyun

Harf hi hai kehkashaan

Harf ki karigari

Harf ke sab imtihaan

Cheaday na koi barg-e-saaz

Kholay na koi marg-e-raaz

Nuks phir koi khil ke aagaya

Shor na sadah, O marhaba

Aaj kal koi, khwaab na khumaar

Nargis-e-jaza, O shadmaan

Ban ke aah-o-zaar nafs-e-nagawaar

Hasratein hazaar hoye mazaar

Shab gaye daag-e-dil ko qaraar

Majlis-e-wafa ho beshumaar

Khwahishen zard kyun

Harf jo hai badshah

Ho azmaa khwabon ka zor is tarah

Harf phir ho aabshaar

Cheaday na koi barg-e-saaz

Kholay na koi marg-e-raaz