Released on December 28, 2020

Thumbnail

[Verse 1]

Ghadi ke kaatein karte baatein, main bhi thak ke choor

Neend lena chah rhi aakhein, par roke "Fitoor"

"Roy" saamne na, darti hai kabhi zaroor

Abhi to "Adi-tay" chamkna jalke "Kapoor"

Chalke lafzon mein ye meri hi parchaai hai

Wo kehte andhera, mujhko dikhai de

Dikha hi de khuda ke basta hai kaha pe tu

Zamana karta dhandha le ye teri hi duhaai hai

Bolun dujon ko main darta na zamane se

Socho sach to darta kaun na zamane se ?

Aazmane se naya to darte kaafi hai

Ke antt mein kya bolenge wo 4 log zamane ke

Jaane de tu mujhko chhod sabko jaane de

Farak bhi padhta kya, karodon yahan anjaane hai

Na jaanе hai haqeeqat kaun hi pehchaane hai

Ye kudrat-е-bazaar yahaan milta sab kamaane se

Kashmakash mein fass kar dhakke khaati rehti kashti

Karwatein badalti soch kya hi mere bus ki

Bus ki sab hai par toofan bhi to hai badha

Main mar ke abhi mit jaun ya mit na bus haan ban ke hasti

Hasti hai ye duniya, baatein hai ajeeb meri ?

Dusty hai ye sadke likha sab naseeb mein nahi

Drishti meri drishtikon ki alag hi keh rahi

Ho jaayegi paar chahe khaai kitni bhi gehri


[Verse 2]

Kyun jeetein rakh umeed hum yahan pe auron se ?

Ye jung hai meri, mujhko milna kya hi auron se ?

Par ye na matlab ki main matlabi hi ban jaaun

Jo khele rishton se jaise shantranjo ke mohron se

Haare dil to kehta daal de halaaton pe

Haal-e-dil kya ye bayaan na jazbaaton mein

Khada akela ya fir saath koi inn raaton mein

Farak nahi hai padhta dosti ho gayi hai kaaton se

Haathon ki laqeere kar rahi hai baatein ye

Kitabi keeda kaise khelta alfaazon se

Naa ishqiya na dil toota koi ye aashiq hai

Likhari kaise ban gya, poochna dewaaron se

Maangi mannat na, chaiye mujhe koi jannat na

Baitha asmanjas mein jaana koi jahnum na

After life chhod aayi khabar kal ki na

Games lage "Sacred" par yahan koi Kalki na

"Better World" myth, aana Kalki na

Kal ki haan , Kalki haan , Kalki haan

Kal ki haan , kal ki khabar mein

Tu bhool baitha keemat iss AAJ is pal ki haan