Released on October 27, 2024

Thumbnail

[Intro]

Aaj hazaaro varsho ke baad itihas apne aap ko fir doharayega

Is ranbhoomi pe aaj saamne hain mere 5 bhai

Ab parinam jo bhi ho, mujhe apna dharm is ghaadi mein nibhana he hoga


[Verse 1]

Ye jeevan ek yuddhbhoomi, aur mrityu hain chaaro he or

Aur aage hai koi na deta dikhai jab chale talvaaro ka zor

Har Jung ka ek vijeta, aur ek ko bikna hai maati ke mol

Ho bose sa taap jab lahu mein sunega kaise vo gandhi ke bol

Na sarthi Shyam, na Dron sa guru aur kavach na hone ke baad bhi

Main vo, hai naam se jiske kaapti dharti kaape aakash bhi

Hai bal se haraana asambhav, na jeetna chhal se aasan

Hain bane jo dharam se shatru, vo bhai mere hain ye 5

Sahunga na karu lahu luhan kategi zubaan jo chale khilaf

Main todu gumaan, inam se bada iman

Savdhan, hawi haiwan hawaas pe aaj

Ye saam daam dand bhed jab ho maan sammaan pe baat

Hai vinash kale buddhi vipreet mera vartmaan hai kaal

Main lagu sarv shaktishali aaj

Prayas karu bharsak, paas kam vakt

Aur hai bolne ko das jan

Chhod de tu mat kar

Chal bas kar, chal ghar chal

Meri khojne ko gadbad bees , mere aane pe hulchul

Tere aane pe sardard, mujhe nafrat se bhi ulfat

Main tere parcham se hu badhkar

Jaye meri tarkash se yahan Sar kat


[Chorus]

Kirno ki jwala, bijli sa tej

Na sur-asur, na prem na dwesh

Hu dharam ka palak na Kaurav na Pandav

Main Suryaputra main sarvashresht

Main sarvashreshtra

Suryaputra main sarvashreshtra

Sur-asur, na prem na dwesh

Main Suryaputra main sarvashresht


[Verse 2]

Sui patak sannata teer jo nikle kamaan se

Rago mein bhramano ka khoon khelo na khel tum mere samman se

Vani mein keshav ki sthirta, krodh mein parashuram sa

Jo kaal se darre vo karega kya vo yodhha

Har Kan-kan kshan+kshan mein bole

Ye ran har man man mein bole

Yuddha jwala tan tan mein dole

Par man mein ye adhchan bole

Kya matraprem ke adheen ho jaau

In panchtatv mein vileen ho jaau

Banu dharampal ya de du pran

Kya daanveer se deen ho jaau

Tere sau prahar mere vaar ek

Tera sarthi mera saar ek

Meri rudra veena ka taar ek

Mere ran hunkaar ki taan ek

Teri sau vijay se badi haar ek

Raudra roop, aakaar dekh

Aa waar kar tu Lalkaar de

Mach jaaye haa-haa kaar dekh

Ha dekh, Ha dekh

Ha dekh, Ha dekh


[Chorus]

Kirno ki jwala, bijli sa tej

Na sur-asur, na prem na dwesh

Hu dharam ka palak na Kaurav na Pandav

Main Suryaputra main sarvashresht

Main sarvashreshtra

Suryaputra main sarvashreshtra

Sur-asur, na prem na dwesh

Main Suryaputra main sarvashresht