Released on August 26, 2019

Thumbnail

[Verse 1]

Jabse tha mein sola saal ka

Kho chuka hu aapa iss dimaag ka

Roz ka tha kosna, maatha thokna

Cheeze todna, baal nochna

Mein sochta ki kya woh mera dost tha

Hota toh na mujhko chhodta

Jab mein khota hausla

Woh dhundhe apni manzil

Mein toh uska boj tha

Paisa hota jab, kaano pe

Padne lagne lagti hai do gaali (shit)

Mein nahi hu kaafi

Duniya maange zyaada

Khaata hota khaali

Usko naa milta pyaar,tarike aazmaati

Woh dhundhe galtiyaan

Ginti apni ungliyon mein

Tujhse na hoga kuch bhi

Dhang se saale tu kalank hai

Mujhe khush karna nai hai

Tere bas mein,Haan yeh sach hai

Koi bhi rishte ka tu laayak nai

Tu naalayak hai

Aaj hu khada mein

Pair dhaste ret mein

Saamne samandar hai

Chalta paani ke taraf

Paani padta pairo pe

Pairo pe hai lagti thand

Hawayein kehti ki tu chalta ban

Jeene mein hai kya rakha

Waise bhi Gulaami ki hee

Zindagi tu kaat ta

Toh hoja laapata

Jaise tera baap tha

Thanda yeh paani,seena kaanpta

Paani hai gehra toh mein nahi leta saans aaj


[Chorus]

Shaayad maut aaj aane waali mere paas

(Mere paas mere paas mere paas)

Shaayad kal milne waali tujhe meri laash

(Meri laash meri laash meri laash)

Shaayad kal maanne waala hu mein apni haar

(Apni haar apni haar apni haar)

Shaayad kal khulne waale mere saare raaz

(Saare raaz saare raaz saare raaz)


[Verse 2]

Dikhta andhera mujhe

Ayy! isko uthaade

Fir isko rulaade

Fir isko udaade

Apni pistol rakh tu

Tere sar pe

Saari goliyon pe tera naam

Teri mayyat meri rashme mujhe

Aaj bhi hai yaad

Saari gaaliyaan jo

Daali thi tune mere naam ke aage

Seh chuka hu saare

Zaalima insaano ki fariyaadein

Yaa toh marne waala tu

Yaa aaj milne waali meri laash hai


[Outro]

Banta hu shaitaan

Kyuki faaltu yeh bhagwaan

Aaj yeh bandook tere sar ke saamne

Ghumaake rakh tu apne maathe pe

Karta hu mein tujhse nafrat

Taaki kar paau mein khudse pyaar

Yeh dimaag sad chuka hai

Hu bimaar

Tek ghutne,kaale hote mere haath

Apni khushi ke liye mein

Dedu apni jaan

Jab zindagi ho aisi tabhi

Boht lagti mazedaar

Mazedaar