Released on October 7, 2020

Thumbnail

This sh*t is called BLACK

Lo aaj phir ek mar gayi

Soona sa wo aangan kar gayi

Par dusri thi duniya us pari ki

Lo waapis wo ghar gayi

Bhaashan aur shuru mukadme

Mombatti jale diye bhi

Adhmara pita maa ko hai sadme

Koi dard ka zehar piye ji

Bas rab se ab ek guzaarish

Mujhe ab na banana tu insan

Rakshak hai ya phir saazish

Darr lagta hai badi hinsa

Koi na bacha sabhi jaanwar

Chup baithe hai sab jaan kar

Na shikan na chehre pe sharm hai

Maar de rab ko ye naam pe dharam ke

Sab dekhu aur kya baki

Andha kanoon bhrast ye khaki

Tasveerein lo peedita ki

Bana lo khabrein nikalo jhanki

Par naa! Kuch na hoga

Din do niklenge, dukh na hoga

Deshwasi ye nind mein hain

Haan koi bhi jaagruk na hoga

Bujhti rahegi kya jyotiya?

Kabhi Nirbhaya, kabhi Asifa

Badi zainab thi wo titliya

Par udd gayi wo hoke fanaa

Is dharam ki wo is dharam ka

Ye badla hai bhai kis janam ka?

Maanta na un ko behan tu

Tujh ko gham kya! Hatt ye janta!

Main dhundta ujale hai ghana andhera

Wo awaazon ka suraj nikle ho savera

Wo sab bura humare upar beeta bhi hai

Wo sab humari behne kya hai tera mera?

Main dhundta ujalе hai ghana andhera

Wo awaazon ka suraj nikle ho savera

Wo sab bura humarе upar beeta bhi hai

Wo sab humari behne kya hai tera mera?

Main dhundta ujale hai ghana andhera

(TV News)

That horror story from Kathua now which makes you wonder if India is indeed serious about saving our daughters?

Sirf samay batayega ki kaise ladungi

Lekin main haar nahi manungi

Ladti rahungi

Samachar sab gaye hai bik

Kuch baat thi aur kuch dete likh

Aayenge din woh kab poochho na

Kirdaar hai wo ek kalpanik

Par hai garib ki sunta kaun?

Koi cheekhta hai koi baitha maun

Lagva nishaan woh syahi ke

Hain bhool jaate ki janta kaun

Desh par aayi aapda

Kuch mera jis se hai raabta

Sachai bolunga ho nidar

Darpok tu! Tera na pata

Par lad zubaan ki talwar se

Kyu shaant baitha tu haar ke?

Bharat maa bhi to hai aurat

Kahi uss ko na bhi ye maar de

To haan bol ya naa bol

Par kuch to tere vichaar ho!

Sab kursiyan wo hil jaayengi

Jo tez teri lalkar ho

Na sunega koi aap beeti

Na jaat dharam na rajneeti

Azaad ho ke bhi kaid mein hum

Darti hai behne maa aur beti

Ye sochne ki baatein hai socho

Kyu mann humare yun sehme hain?

Har ek burai tum dat ke roko

Teri meri bhi behne hai

Apraadh laakhon hai varshik

Rab le lo phir avatar ek

Ye Bharat tha ab India

Hai swagat aap ka hardik

Main dhundta ujale hai ghana andhera

Wo awaazon ka suraj nikle ho savera

Wo sab bura humare upar beeta bhi hai

Wo sab humari behne kya hai tera mera?

Main dhundta ujale hai ghana andhera

Wo awaazon ka suraj nikle ho savera

Wo sab bura humare upar beeta bhi hai

Wo sab humari behne kya hai tera mera?

Ladies and Gentlemen

This is Spitfire

And I’m here to speak the truth

Black