NAAMUMKIN

By Sønu Parit

Released on June 18, 2021

Thumbnail

Namumkin me hai naam chupa

Aur mujhko naam hi banana hai

Namumkin kaamo ko

Mumkin kar dikhana hai (×2)

Ayee...!!!

Mujhe boht kuch hai khona

Aur boht kuch hai pana

Jabse bana mai

Hip-Hop ka diwaana

Sochenge baad me

Kya sochega zamaana..?

Jo Jo dekhe maine khwaab

Unko pura kar dikhana

Naam hai kamaana

Maa Baap ka naam roshan kar

Iss duniya se jana

Iss satranj ka main Raja

Aur Main hi Wazir

Haath ki lakir se nahi banti takdeer

Banani padti hai mehnat se naseeb

Main khud apna rasta chunu

Apni Mehnat se apni takdeer ko likhu

Mere aankhon me hai sapne

Aur seene me jal rahi hai aag

Haath me hai kalam

Aur kagaz par nikali

Main dil ki bhadaas

Khud ka main Raja

Khud pe karu raaz

Main Independent Artist ki

Independent Aawaz

Ye system ke kide

Ye system me ji rahe

System ko change karu

Apne Hisaab me

Jo Jo mеre khaas the

Abhi bhi Merе paas hai

Divine ki tarah

Abhi bhi karte punya

Abhi bhi karte paap hai

Sabko maine dekh liya

Kaun apna aur kaun aastin ka saanp hai

Unka karu kaam tamaam main

Namumkin me hai naam chupa

Aur mujhko naam hi banana hai

Namumkin kaamo ko

Mumkin kar dikhana hai (×2)