Pukaar

By Snappey

Released on August 26, 2024

Thumbnail

Kya Hui ye desh ki haalat

Na nari surakshit naa balak

Kolkatta se uttarakhand

Hum logoka Desh ye bhaarat

Aaj desh pe ye aayi hai aafat

Aur Nayak hi bana vinaashak

Harr raah pe mile hai smaarak

Jabh nikle insaaf ke talaash par

Roz rape ki khabre akhbaar mei

Wo Cheenkhe gunje sabke kaan mei

Naa raha insaan bass rahi kuch yaadein uski aur tasveerein Deewar pe

Ghulmilke hi rehte hai saanp ye

Logoke beech dikhe aam se

Poojte hai Devi ko par hai ye ma

Beheno ko gandi nazro se taadte

Yaha Mantri bhi kare wakalat

Ye 'Ops kare bagaawat

Kyu paale pose aise naamard

Tagda Paisa moti daawat

Svatantrata apnе hi pass rakh

Hume chahiye hai apnaa haqq

Aur shaant nai hoga samaaj jabhtak awaaz na pohochegi purе jahaan tak

Haan Hogaya kaafi ab naatak

Inn logoki laani hai shaamat

Banao kaanun Aisa jisse rooh bhi kaape ye sochne ke naam par

Kalam karo, inka sar

Ya public mei faasi pe taang kar

Tum samay ka mahatva jaankar

Naari ke garv ko vaapas laakar

Aur Maana hum aadmi hai aam par

Hamaare ekta mei hai taaqat

Hum ladhenge aakhri saans tak

Lutjae jab ladki ka aanchal

Ho badi ya choti, samaan sab

Hai Ram bhi khada jo Raavan

Seeta ke dwaar to hoga Ramayan

Shakti ma ke sath hori haiwaaniyat

Ab ispe bhi baithegi saansad

Aur Khade hoge do teen parshad

Iss Aag ko ye saakshi Maankar

Bolenge Jhut fir Geeta pe haath rakh

Ye aag jo lagi hai aaj toh

Kardo inko benaqaab abh

Chaiye nai Mamta ka saath ab

Chaiye istifa ye maang rakh

Ye aayi hai logoki aandhi

Umeed hai fir hogi na aankh bandh

Jo layi ye nari ne kranti

Ye Vaar Hona chaiye kaargar

Hai humpei aankhei iss jahaan ki

Desh ka sammaan bhi hai aanch par

Baaki Pradhan mantri aap par

Aur Harr naari ko bolu mai maaf kar

Kya Hui ye desh ki haalat

Na nari surakshit naa balak

Kolkatta se uttarakhand

Hum logoka Desh ye bhaarat

Aaj desh pe aayi hai aafat

Jabh Nayak hi bana vinaashak

Harr raah pe bane hai smaarak

Hum nikle insaaf ke talaash par