DEKHTA NAHI

By SD

Thumbnail

{Chorus}

Kisi ko dekhta hi nahi

Dekhta hi nahi

Apne kaam ko maanta bhagwaan

Kyoki dene wala hai wahi (For God)

{Verse 1}

Mai apne alawah kisiko dekhta hi nahi

Jo bhi hai sab asli kabhi faikta hi nahi

Din bhar karta mehnat, kaam mera kisi ko dikhta kyo nahi

Khud se likha hu, na karta mai copy,paste

In rappero ka chal raha diss game

Muzhe bhi bolte bhai tu bhi kisi ko diss kar

Par mai chup hu

Ye khud ko bool rhe rap god

Inko na pata rap game mai inka mai Bubu

Bahuto ne zhukaya par zhuka nahi

Raaste mai daala tha adanga par mai ruka nahi

Mere andar hai rap ki bhook

Tu abhi bhookha nahi

Khud aaya apne dum pe peeche kisi ko duwa nhi

Jo bhi socha kabhi wo huwa nahi

Andar mere aag h, dhuwa nahi

Beta ye rap game hai

Daav pe lgaya maine sab kuch, par khela kbhi juwa nahi

Kaat raha hu Puri fasal,kyoki bura toh kabhi boya nhi

Kaam karta khud, Credit kisi ko deta nhi

In rappero ki dictionary mai khali ho gye word

Inko deta mai rap ka gyan

Salaah mai kisi 3rd person se leta nahi

Jo kabhi hath mai na tha, wo aaj hath mai hai

Jo loog rahte the 12 hath dour,mere saath mai hai

Jo kabhi bante the tees maar khan

Aaj apni aukat mai h

Aaj sabse pahle aata no. mera baaki loogo ka baad mai hai

{VERSE 2}

Tere soch se bhi uper hai mera wordplay

Agar lena hai kuch toh muzhse sabdo ka karz le

Ye rapper hiphop ke naam pe pata nhi kya-kya bech rahe

Par hiphop ko bachana mera farz hai

Koi na hamdardi,sab yaha dene wale dard hai

Agar Eminem Rap god

Toh mai Hiphop ka tansain

Saikdo ki tadat chal raha peeche lekar

Tabse sun raha hu rap, jabse tha mai Paanchvi mai

Ki din raat mehnat ye raatein gawaah hai

Suna kya nahi

Logo ki baatein gawah hai

Mai kaise haal mai hu kisi ko na parwah hai

Tarsha iss mic ke liye

Bolunga sab kuch,aaj mic mere hath mai hai

Pahla kaam rap, baaki duniyadari sab baad mai hai

{Chorus}

Kisi or ka kaam dekhta hi nahi

Dekhta hi nahi

Apne kaam ko maanta bhagwaan

Kyoki dene wala hai wahi

{VERSE 3}

12 ke baad na pta tha aaghe kya karna hai

Zindgi h kargil fight, ab muzhe ladna hai

Chahe mai border pe nhi, par apne haq ke liye ladna hai

Rooj subah ugna or,shaam ko muzhe dhalna hai

Pahle darta tha bahut, ab kisi ki dar naa hai

Hiphop ko gahraai se jana maine

Gaadi kaha ja rahi thi

Kuch pta na tha

Aaj gadi h meri patri pe

Har ladki muzhe dekh ke palati hai

Pahle rahta tha khopche mai

Aaj sabse aaghe front wali seat pe

Har beat ko kar deta beat mai

Baki rappero ko chod

Loog sunte mere gaane ki playlist repeat pe

Loog sun rahe mere gaane

Jalne wale bolte peeche peeth ke

Bahut milenge bhatkane wale ,par apna raasta tu tay kar

Tu hi hai apni zindgi ka maalik

Kisi ka na bhay kar

Chinna padta hai apna haq

Kyoki bhai kuch na milta hath mai katora lekar