Aj bhi mujhko ye hi baat sataati hai
Kya aj bhi usko meri yaad aati hai?
Kya karti hai har pal wo ziqr mera?
Kya intezaar mei aj uski shaamei dhalti hai?
Majbooriyaan thi teri, maan leta hu
Par waada kiya tha tunei saath rehne ka
Deedar ko ye teri, tarasti hai aankhein
Par waada kiya tha tunei yaad raakhne ka
Wo dard hi kya aankhon se jo yuhin beh jaaye?
Wo ziqr hi kya hothon pei jo yuhin reh jaaye?
Khaamosh hu toh bas teri Khushi ke liye
Samajhna matt ke ye dil mera nahi dukhta
Tanhaaiyon mei mujhko thoda yaad kar lena
Gar tujhko kabhi baantna ho ye gam tera
Wo dard hi kya aankhon se jo yuhin beh jaaye?
Wo ziqr hi kya hothon pei jo yuhin reh jaaye?