PaKING

By OCL

On paKING (EP)

Released on March 6, 2020

Thumbnail

(Intro/Call To Arms - Syed Anwar Karamat Ali Shah)

Na darta hu may mout say na toofan say na haar say

Darta hu may agar, tau sirf apnay Parwardaygar say

Zulm kay agay jhuk jana meri adat nahi

Shaqiq-E-Faisal hu may kisi buzdil ka tarana to nahi

Hanstay thay, kehtay thay, key tum say na hu paye ga

Pochta hu may ab, kay kaun mujhay rok paye ga?

Hu may vo aag jo bharak jaye tau jalaa de sabhi

Farzand-E-Anwar hu main, koi kaahil tu nahi

Na hai wo tuj may vo taqat, na teray bazoou may vo dum

Jo rok sakay iss Shah ko parhnay se Tarana-E-Watan

(Verse 1 - Osama Com Laude)

Manzil mere samnay

Cheen ne wala koi nai

Hip-hop key mamlay mein

Larr le mujse koi bhi

Saal lagaye hai

Seekh liya sab kuch

Koi agay tau aye

Career uska khudkhusht!

Baatein baatein, ye baatein kara lo sab se

Jagay jagay, ab jaggen ge sab sun key

Kon hai upar ya neechay ab sab sun le

Upar KHUDA aur neechay mein betha hun takht pe!

Bohat sakht hai, bohat sakht hai

Iss Shah ka mizaaj bohat sakht hai

Jis key naam mein sher aur karam hai

Karay wo raaj, aur talvaar se kalam hai!

Waqt hai kuch nai, jab tak meri jaan hai

Akhir tak mehnat, aur yehi mera emaan hai

Samaaj tak sach paunchana mera kaam hai

Ta key fakhar se bolay, YEHI PAKISTAN HAI!

Choro ko nai chor na

Busdilo ko phor na

Hukmaraano ko hook maar maar kar tor na

Kaha the sab, jab Zainab royi Kasur mein?

Kaha the sab, jab Mashal cheekha “kyun mein?”

Fazool ki laraya, dusro pe charaya

Har koi bana phiray iss mazab ka messiah

Girabaan mein jhaank key pehle dekh lo

Apnay amaal ka daagh pehle kuraid lo!

(Pre-Hook)

Jab tak ittehad nai aye ga

Tab tak ye ilaan ho ta jaye ga

Tau kaan khol key suno mera peghaam

Aya hun mein, paKING mera naam

(Hook x 2)

Pa-paKING mera naam (kaun bachaye ga Pakistan)

Pa-paKING mera naam HAI! (kaun bachaye ga Pakistan)

Pa-paKING mera naam (kaun bachaye ga Pakistan)

Pa-paKING mera naam HAI! (kaun bachaye ga Pakistan)

(Verse 2 - Osama Com Laude)

Kabhi kabhi kyun mujhe ye lagay hum hi

Peechay hai aur sab hi agay barhay aur tab hi sab hi

Ko aye gi hum pe hassi key dekho ye qaum tau phassi

Reh gi aur eik dusro ki nasso ko kaat kaat key ujaar de gi

Ukhaar de gi, hum badbakhto ko maar de gi

Jab tak humari aankhen nai khulen gi

Humari raatein ye rulen gi

Aur ye baatein nai suljhen gi

Jab sab neeyatay dhulen gi

In nafzo se jo bharay ghamand ko

Wo lafz jo jagaye andar ka Manto

Kabu karo apnay beto aur larko pe

Warna kya jawaab den ge wo maut ko?!

Mainay dekha hai wo samaa

Jab koi rang ya daulat banaye na pehchaan

Koi ungli na uthaye

Koi churi na chalaye

Haat agay barha key eik dusre ko agay le kar jaye

Bus bus bus, bus karo fuss!

Fasaad karnay se na ho ga hal

Jo har pal rishtay karay qatal, aur hum jal jal

Key eik dusray se dur huay har pal!

Ab waqt hai eik baaghi ka

Banay muhafiz aur thamay ga

Sab key dilo ko jagaye ga

In maray armaano ko uthaye ga!

Bola mujhe key tu aisay kar waisay kar

Iskay sahara le key tu aisay chal waisay chal

Bola mujhe key tu kar nai sakta

Bola mujhe key tu haar key marr jaye ga

Lekin mujhe pura yakeen hai apnay Rabb pe

Aur mera hunar eik shola jo niklay lab se

Andar ka jaan nashee jo tha qaid

Nikla ab baahir ye Shayar-E-Azam jo hai Quaid!

Han mein! Mein sippa salaar

Jo karay barbaad, ye nakli mazaar

Le kar aja apnay 100 ya hazaar

Demaghi bimaar, mein kar dun ilaaj

Apnay lafz se, jo kabz the ab phatt re

In sab key sarro pe jaisay hai ye Bombay

Meri ye aag kabi na buj paye gi

Aur meri kamyabi bhook in sab ko kha jaye gi!

(Pre-Hook)

Jab tak ittehad nai aye ga

Tab tak ye ilaan ho ta jaye ga

Tau kaan khol key suno mera peghaam

Aya hun mein, paKING mera naam

(Hook x 2)

Pa-paKING mera naam (kaun bachaye ga Pakistan)

Pa-paKING mera naam HAI! (kaun bachaye ga Pakistan)

Pa-paKING mera naam (kaun bachaye ga Pakistan)

Pa-paKING mera naam HAI! (kaun bachaye ga Pakistan)

(Outro – No Front)

Hey yo Beast, talk to'em

Whole city behind you O

Let'em know how No Front does this

Hey yo Myca C! (Mikey!)

YEAH! Our boy holding it down

All the way from the 407 to the P-A-K

You already know, we stay ready O

And all of Pakistan should now know, there will only be one paKING!

Amen! Amen, No Front!