Dashavatar

By Narci

Released on October 25, 2020

12K Views

Thumbnail

Ramakantaharam sruthivrathasaram

Jalantharviharam dharabharaharam

Chidanandaroopam manogya swaroopam

Drithaneka roopam Bajeham Bajeham

Jarajanma Heenam parananda peenam

Samadana leenam sadaivanaveenam

Jagajjanma hethum suraneeka kethum

Trilokaika sethum Bajeham Bajeham

रमाकण्ठहारं श्रुतिव्रातसारं

जलान्तर्विहारं धराभारहारं

चिदानन्दरूपं मनोज्ञस्वरूपं

ध्रुतानेकरूपं भजेऽहं भजेऽहं ||

जराजन्महीनं परानन्दपीनं

समाधानलीनं सदैवानवीनं

जगज्जन्महेतुं सुरानीककेतुं

त्रिलोकैकसेतुं भजेऽहं भजेऽहं ||

1. Matsya Avatar

Brahma se chheen baitha vedon ko Hyagriv

Pair uske paapi nahi rahe they kahin bhi tik

Prabhu ne avatar liya paapi ke vadh ko

Matsya ke roop mein wo mile Satyavrat ko

Leela dekh Hari ki hairaan they wo khoob

Alaukik dikhaya tha Hari ne apna roop

Bole Satyavrat ko parly hoga jal se

Shuru naya yug hoga aane waale kal se

Le ke aana saare saptrishi aur praaniyon ko

Nauka mein meri thaamegi jo aandhiyon ko

Hyagriv ki mrityu, vedon ka bachaav

Matsya ka roop, khinchega naav

2. Kurma Avatar

Paaya na sammaan rishi Durvasha ne jab

Kshaap unka jhela sabhi devo ne tha tab

Haavi they asur, dev bal heen khade

Aage shree Hari ke they saare gamgeen khade

Manthan hoga karna baat padi kaan mein

Mandar pe Vasuki sahi tarah baandh ke

Tod tha ye shaap ka dikahya sabne dum

Samundar manthan hua ksheer sagar mein aarmbh

Mandar nahi sagar mein raha tha achal

Tab Kurm avatar leke bane dharatal

Faila jab vish, lag rah tha ant

Mahadev ne tha pee ke use kiya neela kanth

Bhaage amrit paane peeche neech toot ke

Hari ne bachaya use Mohini ke roop mein

3. Varaha Avatar

Sanakadi rishi chaar phaunche Narayan ke dwar

Roka dwaarpaalon ne tha chaaron ko bahar

Poocha dwaarpaalon ne tha chaaron ko tum kaun ho?

Bole Hari bhakt hum, dwar ko tum khol do

Baitkunth ke dwar nahi khole dwaarpaalon ne

Krodith hoke shaap unhe de daala chaaron ne

Janme dono bhulok anuroop kshaap

Hiranyakashipu ek aur dusra Hiranyaksha

Dharti ko rasatal mein le gaya Hiranyaskha

Varaha ka avatar hua karne uska naash

Dharti ko bachaya fir yudh hua chand

Hari ne anant use diya mrityu dand

4. Narasimha Avatar

Tap kiya tha Hiranyakashipu ne Brahma ka

Var maanga aisa sun hua tha achamba

Maanga vardaan na main haar se darun

Na din mein marun, na raat mein marun

Na pashu mujhe maare, na marun kisi nar se

Na marun aasmaan mein, aur na hi sthal pe

Bheetar maarun na main marun bahar

Na koi hathiyar le sake mere praan

Bola Prahlad ko hai kahan tera Hari?

Wo bola kan kan mein hai Hari ki hi chavi

(Yadi is kambe mein bhi tera bhagwan hai

To aaj na ye khamba rahega, na tera bhagwan)

Hari khade aage, stamb saara dher tha

Dhad unka nar aur sar unka sher ka

God pe leta bole shaap kar samaran

Naakhoono se Hari ke tha hua uska maran

5. Vamana Avatar

Daity raaj Bali ne jamaaye pair swarg mein

Indra ko prajit kar raaj kiya garv se

Aditi ne khinnta se poocha samadhaan

Hari bole loonga janm apke hi garb se

Vaman ki hi maya samadhaan lekar aayegi

Bina yudh kiye Raja Bali ko harayegi

Ashvamedha yagya ko tha raaja bhi taiyaar

Hari phaunche liye Vaman avtaar

Parnaam kar Bali bole jo bhi maangi doonga main

Vaman bole teen pag bhoomi tumse loonga main

Pehle pag mein bhoolok dusre ne naapa swarg

Teesra main pair kahan rakhun raja bolo ab?

Sar ko jhuka poora kiya tha sankalp

Rakho pair sar pe ye hai teesra vikalp

Ramakantaharam sruthivrathasaram

Jalantharviharam dharabharaharam

Chidanandaroopam manogya swaroopam

Drithaneka roopam Bajeham Bajeham

Jarajanma Heenam parananda peenam

Samadana leenam sadaivanaveenam

Jagajjanma hethum suraneeka kethum

Trilokaika sethum Bajeham Bajeham

रमाकण्ठहारं श्रुतिव्रातसारं

जलान्तर्विहारं धराभारहारं

चिदानन्दरूपं मनोज्ञस्वरूपं

ध्रुतानेकरूपं भजेऽहं भजेऽहं ||

जराजन्महीनं परानन्दपीनं

समाधानलीनं सदैवानवीनं

जगज्जन्महेतुं सुरानीककेतुं

त्रिलोकैकसेतुं भजेऽहं भजेऽहं ||

6. Parashurama Avatar

Treta mein Hari ne liya chattha avataar

Jamadagni they pita aur Renuka thi maa

Sahastrabahu ne jab dekhi dhenu aashram mein

Lobh uska badha uske parti har pal mein

Ram ke abhav mein wo aasharm ghusa

Chheen ke wo le gaya tha Kaamdhenu bal se

Krodh ka tha dikha Parshuram mein asar

Liya partishodh, kaat ke tha sar

Raja ke beton pe tha khoon bhi sawar

Jamadagni ka vadh kar liya partikaar

Parshu ko kop se kas baitha haath

Uske beton ke lahu se kiya pita ka tha shraadh

Kshatriyon ne dekha Parshuram ka tha traas

21 baar kiya kshatriyon ka naash

7. Rama Avatar

Nagri thi ayodhya ki na jahan jhootha kauf tha

Dasrath ki is seema mein na saty pe bhi rok tha

Asuron ke kaaran, kashton mein sab praani they

Tadka ke vadh ne jagaya naya josh tha

Swamybar bhi jeeta, hua dukhon ka aagahz

Mila banvaas nahi hisse mein tha taj

Lobh ka na rakh swikaar kiya van

Panchvati mein tha hua fir Sita ka haran

Sita ki khoj mein aatur they Ram

Aur khoj ke samay they mile unhe Hanuman

Sang vaanar sena kiya yudh bhi parchand

Ravan mara toota uska ghamand

8. Krishna Avatar

Hari bane Devaki ki aatvhi santaan

Leela unki jaanta hai saara hi jahan

Devaki thi maa aur pita Vashudev

Par Nand aur Yashodha ne tha paale Dwarkesh

Murli ki dhun ne mein tha Gokul sama liya

Pootna ka vadh kiya, naache chadh Kaaliya

Gopiyon se ghire par Radha ke Shyam they

Meera anuraagi bani Shayam ke hi naam se

Ant adharm ka unhone har kshan kiya

Kans ka vadh kar Mathura ko dhany kiya

Saarthi bane, raah bhi dikhaya

Mahabharata mein aham kirdaar tha nibhaya

9. Buddha Avatar

Vistaar hone laga jab daityon ka zor

Devon mein tha macha pareshaani ka shor

Bole sabhi dev kuch dedo samadhaan

Dharti pe laaye Hari shanti ka gyaan

Unke tanav ko tha Hari ne bhi door kiya

Buddh ka tha roop liya, Krodh bhi choor kiya

Daityon ki yagy se doori bana daali

Maanavon ki jaati bhi poori bacha daali

Gyaan ko failaya tha Hari ne us kaal mein

Shanti failaiyi thi Buddh avatar mein

10. Kalki Avatar

Garb se Sumati ke aayenge wo sahasi

Antim avatar abhi Hari ka hai baaki

Hath talwar thaame, baithe Devdutt pe

Naam hoga Kalki, karak honge vadh ke

Jhooth pe lagegi fir saty ki aag

Kaal ye Kali ka wo karenge samapt

Kali ki lagi aag hogi jab

Charam pe khada adharm hoga jab

Antim avatar hoga tab Shree Hari ka

Saty ka yug wo akrenge aarmbh