[Intro]

Seekh seekh seekh, haan mili

Seekh seekh seekh, haan mili

Seekh seekh seekh, haan mili

Seekh seekh seekh, haan mili

[Chorus]

Maa boli beta pehle haath nahi uthana

Lekin de de jo chamaat ghar bhaag ke nahi aana

Khole jo kitab woh hisab de ke aana

Aur maare koi laat toh phir taang ke hi aana

Baap bola beta sab se dosti banaana

Lekin de de koi aankh toh phir aankh nahi jhukana

Maare koi laat toh phir taang ke hi aana

Aur jo aaye ek saath, toh ek saath leke jaana

[Verse 1]

Main chauthi mein tha woh saatvi mein tha

Mera balak mijaaz aur woh aadmi sa tha

Mera cheenti shareer woh saala hathi sa tha

Main bachpan se hi thoda baghi sa tha

Woh bola mujhe Beta de raha kisko hool

Aankh neeche beerey raha kisko ghoor

Jaanta nahi bawe tu yeh kiska school

Par kardi bhool toh kismat qubool

Maine Gandhi padha tha, uss ne khaak nahi padha tha

Maine gaali baki, toh usey gaal hi dikha tha

Aur main gaal hi dikhata, jaise Gandhi padhata

Par woh lekе mere note, mujhе chhaapne laga tha

Dhaap mein gira tha, par main haath nahi uthata

Cause I learnt the wrong lessons, abhi paath nahi padha tha

Never been a snitch, toh phir baat kya batata

Ghar bhaag ke main jaata, bas maa ko jatata

[Pre-Chorus]

Kya karoon maa?

Haath dhare baithun, ya phir haath dharun, maa?

Insaaf karoon kya?

Haath rakhun saaf, ya phir daag du nishaan?

Beta hote nahi pareshan, itminan se kaam tu rakh pare shaan

Lekin jab ho zulm ka dabav, toh rakhna zehen mein yeh baat

Teri maa boli

[Chorus]

Maa boli beta pehle haath nahi uthana

Lekin de de jo chamaat ghar bhaag ke nahi aana

Khole jo kitab woh hisab de ke aana

Aur maare koi laat toh phir taang ke hi aana

Baap bola beta sab se dosti banaana

Lekin de de koi aankh toh phir aankh nahi jhukana

Maare koi laat toh phir taang ke hi aana

Aur jo aaye ek saath, toh ek saath leke jaana

[Verse 2]

Agle din main baitha taiyyar

Badli kameez aur tameez aur chaal

Chhaati thodi baahar, thodi oonchi yeh naak

Aatmasamman bana meri ye dhaal

Maine rakha kaam se kaam, par khamakha

Woh dikha mujhe class ke baahar, aur saath thhe paanch

Woh roka bola jaanch padtaal, aur mere kandhe pe haath

Main bola haath hata, woh bola Kya–

Karega tu baap se baat, aur tu-tadaak

Doon munh suja do ghoose maar

Doon munh phula, tu bhool chuka

Chal ab baatcheet hui bahut, bag utaar

Usey pata na tha hoga uske munh pe vaar

Usay laga hoga loonga main bhi kya ukhaad

Bag basta chhod diya bhoot utaar

Kiya khoob udhaar, diya joot utaar

Diya thoonth pe laat, main ghutne baaz

Woh dikha mujhe thookta lal, woh gutkebaaz

Bachana chahe usey ke yaar, par sab bekaar

Phenka uss se kaanch ke paar, toh kaam tamaam

Lage munh na aaj ke baad, woh apne aap

Chale na woh aas ya paas, le raste naap

Kare saale paschataap, aur sab ehsaas

Tabhi baitha main hairan, ab bhay ke paar