Sharaab

By J Trix

Released on July 29, 2022

Thumbnail

[Verse 1]

Kaam kia humne tabhi naam bana khud

Invest kia time tabhi daam bana khud

Vishwaas rakha khudpe inaam bana khud

Nark ke raaste chalke insaan bana khud!

Financially azaad ban gaye!

Ye saale memegiri karke mazaak ban gaye!

Jalte jalte saare yaha rakh ban gaye

Jo giraana chahte hum unhi ke baap ban gaye (anh)

Mujhe khauf ka nai maaloom

Aur kisi ko bhi kisika yaha maut ka nai maalum

Soch barkat, Bade harkat

Itne chhote mat rakh ki kisiko tere shaukh ka nai maalum (anh)

Kehte karta itni mehnat kyun, saath aake maze le

Kya karu bhai mere mere shaukh bhi toh bade hain!

Tu Sunday party karke Monday office

Mera har din losses mere har din profits

Tere sir pe boss hai teri aamdani fix

Mujhe Karna khudka tabhi scene Kia switch

Source Mere alag mere saath chale risk!

Rakhta main sabar, hu akal se awal

Hai bhale hi chhota par tight apna circle

Bas school me pass Karne ko kia nakal be

Dil tere saaf toh na fark pade shakal se

Fakar se kehta ki ye meri life hai

Akkad na rakhta main kyuki ye life hai

Kal baitha chaand pe aaj mile khaai me

Sun toh kahaani samajh to advice hai


[Chorus]

Zindagi khwaab hai, na koi jawaab hai

Waqt ke saath hum behtar wo humko bulaate sharaab hai

Bulaate sharaab hai

Seene me aag hai, thanda dimaag hai

Sapno ko pura hai karna hum tabhi toh raaton ko jaage

Tabhi toh aage

Zindagi khwaab hai, na koi jawaab hai

Waqt ke saath hum behtar wo humko bulaate sharaab hai

Bulaate sharaab hai

Seene me aag hai, thanda dimaag hai

Sapno ko pura hai karna hum tabhi toh raaton ko jaage

Tabhi toh aage


[Verse 2]

Chale alag raaste pe

Kalkatta sheher se ha chale jidhar chai sutta naashte me

Dost har ek class ke be!

Yaha Dekh ke jo broke lage naap dete bills tere height ke be!

Badh gaya ab kaam hai na

Bas sheher nai ab desh bhar me fail raha naam hai na

Sab khule aam hai na

Wanted hu jaise mere sir pe inaam hai na

Karta rap jab se rap ka koi show nai the

Kalaakaari se jo milta aisa note nai tha

Sirf pyaar tha hip hop ke liye khot nai tha

Sunne waala bada bhai aur koi dost nai tha!

Kehte, “main karta nai rap technical”

Apni old school soch tabhi gaya shaayad tech(technology) nikal

Ye tactical approach hi alag hai

Skills ki nai kami yaha pe soch hi alag hai

Tere gaane bas ye parties aur nafrat me bajte

Apne gaane karte heal jab afsos hi alag hai

Mere jaane ke baad bhi rehne waala tere saath

Rakhna chahta jaise gaano me wo soul hi alag hai!

Tabhi Naaz hai na bro

Apne zimmedaari ka mujhe ehsaas hai na bro

Uparwaale ka ye taufa apne paas hai na bro

Bina iske toh bhai tera laash hai na bro!


[Chorus]

Zindagi khwaab hai, na koi jawaab hai

Waqt ke saath hum behtar wo humko bulaate sharaab hai

Bulaate sharaab hai

Seene me aag hai, thanda dimaag hai

Sapno ko pura hai karna hum tabhi toh raaton ko jaage

Tabhi toh aage

Zindagi khwaab hai, na koi jawaab hai

Waqt ke saath hum behtar wo humko bulaate sharaab hai

Bulaate sharaab hai

Seene me aag hai, thanda dimaag hai

Sapno ko pura hai karna hum tabhi toh raaton ko jaage

Tabhi toh aage