ASAR

By Insanoid

Released on May 10, 2019

Thumbnail

(Hook)

Raat biti savera naya aya/

Zaya- karna ni din; sab paise ki hai maya/

Bikta hai pyaar, ashiqon hai kahan kadar?/

Lafz hai ye rukhe na hoga inka asar/ x2

(Verse-1)

Ek taraf tu, duji traf teri manmani

Shuru hone se pehle hi khatam hui meri kahani

Bikta hai pyar ashiqo ki hai qadar kise?

In lafzo pe na jana vaise bhi tum ni samjhoge

Us rishte ko kya bolu joki tha hi ni hakiqat me

Tukde un lamho nai khoye, bas yehi ganimat hai

Zindagi gulzar thi, jab tu mere pas thi

Ab khali kothri hai, andhera bana mera yaar bhi

Dhuein si ud rahi meri zindagi, kamaal ki

Bhula hu me khudko usko janne ki koshish me

Khudko khojna hai baki zindagi ke is bhawar me

Bandh liye joote chal pada me us safar pe

Jiska koi mukammal thikana hi hai nahi asal me

Bichaya tha khudko uske liye mene kasam se

Un behisab ashqo ka mol hai shayad hi kisi ke pas

Bas tu hi to thi jab koi na tha mere pas

(Hook)

Raat biti savera naya aya/

Zaya- karna ni din; sab paise ki hai maya/

Bikta hai pyaar, ashiqon hai kahan kadar?/

Lafz hai ye rukhe na hoga inka asar/ x2

(Verse-2)

Sone ki karta koshish par jagta hi rehta hu

Un haseen yaadon ko patthar banke me sehta hu

Vese to Sharab ashiqo ka hai sahara

Par yaadon ke nashe ne hi bana dala mujhko awara

Ek tera sath tha, jab koi na mere pas tha

Aub tu nahi to kuch nahi, aur lamba hai ye raasta

Nangepan k daur me, mohabbat ek alfaz hai

Un sabko sambhala, tumko laga ke sab bakwas hai?

Khas thi tu, khas tha waqt joki guzara tha

Hakiqat to kuch or thi par wehem to humara tha

(Hook)

Raat biti savera naya aya/

Zaya- karna ni din; sab paise ki hai maya/

Bikta hai pyaar, ashiqon hai kahan kadar?/

Lafz hai ye rukhe na hoga inka asar/ x2