Maa

By HotFix

Released on May 11, 2020

Thumbnail

Ab na pass main mere tu maa

Kaise suna ghar lagta yeh mujhko

Ab na saath mere tu maa

Dekh dar lagta kaisa hai mujhko

Kya sach main bata du main tujhko

Yeh puchu sawal main khudko

Tere na hone pe ab yeh samjha hai mujhko

Tere bina nahi jeena hai mujhko

Na jagne ka mann hota mera

Jab tak daant ke naa tu uthayee

Maa na sametu main bikhra wo bistar

Haan umeedhai tu aake uthaye

Ha gili yeh "aankhein", aur gile un "baalo" ko

Lekar akele main baitha

Umeed hai tu aake sukhaye

Umeed hai tu "aankhein" sukhaye

Main khud se banata hu khana maa

Par khane ka mann nahi hota

Main roz banata bahane main

Ab gaane ka mann bhi nahi hota

Ha koshish main karta ki haske bita du

Yeh pal jismein saath nahi hai tu

Har koshish se hara, na koi sahara

Ab aake tu mujhko manana maaa

Na rakhta main ghar ko ab saaf

Aur na mangunga iske main maafi

Tu aake laga dе ab maar

Bas itna hi mujhko hai kaafi

Main batata hu saaf hi main ab tak hu baccha

Na mujhko bada hai ab hona

Aur raza hai khuda se bas baccha hi rakhna

Bada hoke tujhko jo khona

Terе haatho ke takiye pe sona maa

Bas itni mein karta dua

Tere haatho se khaakar niwala maa

Ha mujhko ab arsa hua

Ha main tarsa hua baitha aas lagake tu aayegi shaam ko ghar main

Ha main darta hua lightein band na karta shaam ko ghar pe

Tu hai kyu nahiiii maaaa

Tu hai kyu nahii

Tu hai kyu nahiiii maaaa

Tu hai kyu nahi saath mere

Mujhko sunai deti wo aawajein

Jo puche beta haan tu thik hai na?

Bas kuch hi dino ki toh baatein

Beta raja mera tu toh dheet hai na

Haan

Waqt pe khana aur waqt pe sona

Kuch waqt main, waqt yeh beetega

Main na aao gar wapas toh koi fikr na

Tu rehna akele kab sikhega?

Mujhko rehna akele na maa

Tu wapas aaj apne ghar pe

Jo bhi kehna karuna main maa

Bina shikan laye tere sar pe

Aur kisse wo kal ke, jo aankhein mal mal ke

Karta akele main yaad

Na itni saza de un galti ki, galti se

Ki khudko na kar pao maaf!

Haan main jo kuch bhi ban baitha aaj

Maa teri dua meherbaani

Main jo kuch bhi ban jao kal ko

Wajah teri saari kurbaani

Tere karz ada karne kabil ban baithu

Har kaam se karta amal main

Kuch na hasil ho pakar har mazil bhi

Manzil pe jo na khadi tu bagal main

Tujhe khone ke har ik khayalo se

Main bhaagu har din ab toh bachke

Kyu khuda na main de sakta maa ko

Kuch meri umar ke wo hisse

Main thank chuka takke

Ab rahe ha teri

Naraji bhula dena maa

Na chahe tu aana

Ghar wapas tu mujhko

Apne p ass bula le na maaa...

Tu hai kyu nahiiii maaaa

Tu hai kyu nahii

Tu hai kyu nahiiii maaaa

Tu hai kyu nahi saath mere