Released on August 23, 2020

Thumbnail

Kyu?

Yeh laga raha mujhe na pata hai ab kyu?

Kyu?

Na mil rahi khushi, na hai koi sakunnnn

Sakunnn!

Kaam koi bhi ho mujhko aata raas nahi

Anginat yeh galityooo ka ehsaas nahi

Jarurtein hai kam, karta main darkhawast nahi

Na hota dard, shayad dil hi mere pass nahi

Akele rehta mujhko bheed na pasand

Keh do ajeeb mujhko ya maan lo ghamand

Main dusaro se jyada khudki aadato se tang

Dhundhali yaadon main hu ghum, dhuye me main malang

Pass koi aata, deta main hu rok (haan)

Pass main hu jaata, deta bas main chot (haan)

Jaban ki jung dil se, chalti dekho roz

Jo ho gayi sulah... na dete saath honth (haan)

Kyu khamaka hui khushi dafa?

Kyu mile bewajah saza?

Kyu khuda na mujhe pata?

Kyu?

Yeh laga raha mujhe na pata hai ab kyu?

Kyu?

Na mil rahi khushi, na hai koi sakunnnn

Sakunnn!

Hamesha rehta aankhein khole main toh khawab main

Sehlaab bhavana ke, baitha main jahaz pe

Na kal pe umeedein, na sakun aaj se

Sawal saare mujhko chubhtein jaise kaanch se

Kyu?

Na rehta saath pyaar merе

Haan kyu?

Dhoka dete yaar merе

Haan kyu?

Likh na pau naseeb khudka

Haan kyu?

Khuda hi likhta zindagi ke saar mere

Kyu?

Paisa na khareed sakte khushi

Kyu?

Chalta waqt jab hai ruki ghadi

Kyu?

Na chahtein huye bhi zindagi badi

Kyu?

Intezaar karti maut hai khadi

Kyu?

Kyu?

Yeh laga raha mujhe na pata hai ab kyu?

Kyu?

Na mil rahi khushi, na hai koi sakunnnn

Sakunnn!

Unsuljhee zindagi se thoda waqt chahiye

Kuch peheliya bujhne ko

Kaafi sawal hai zehan main mere

Kuch khuda se kuch khud se puchne ko