Toothpick

By Gravity

On Hustle 2.0

Released on September 25, 2022

Thumbnail

[Verse 1]

Ek suhana din dhal raha, hui shaam

Taiyyar hoke nikla khaana khaane bahar

Pasandida pakwaan, table saanf

Fir kursi ne di aaram, lajawab interior aur badhiya tha swaad

Waiter ko de di tip, laga lajawab khaana

Bahar aake wapas jaana jaha hai thikana

Nikaalna tha chaara jo fasa daanto ke beech

Tabhi kaano mai sunai di ajeeb si cheez

Ek cheekh aisi ki koi kuchla gaya

Hmm, mann ulajhta gaya

"Insaan tu kya hi naadaan cheez hai, kaafi bad-dimaag, bada satyanashi jeev hai

Itni saari akkal hai najaane kya kami hai?

Samajh na hai aati, bota barbaadi ke beej hai."

Aawaz aa rahi ungliyon ke beech se?

Hmm, aawaz aa rahi ungliyon ke beech se. (Yeh kya ho raha hai?)

"Hona jo ho raha hai tujhe kya pata?

Tu toh apni duniya mai bana bada maharaj

Bhari hawa mein gandagi, bohot zyada maatra

Aur garmi badh rahi jaise hum mein faasla

Pedho ko kaatta mai waha se aata, apne matlab ke liye tu karwaye hadsa

Tu bas dekhe aas-paas, jo paiso ka maamla

Toh tu jebein bharne ko sabse aage bhaagta!(Waah-waah)


[Refrain]

Waah, waah, mai shayad nashe mai

Ha-ha, ya mai hu sapne mai

"Na tu nashe mein na neend mai

Arbo hai bhed, yaha bhari padi bheed hai!

Na sochi tune cheezein!"


[Verse 2]

"Jo kursi de aaram aur woh table jispe rakha tha khaana kisse bana?

Jis bistar pe li neend toh rishwat na di thhi jaha tune chhini yeh lakdiya lakh

Kaatke, haath se, bejaan waha raaste

Vikaas ke naam vishwasghaat hai

Tere paalne mai palne se arthi pe marne se chitta pe jalne tak kiski bichchi laashein?

Bansuri baji, pedho ki rone ki aawaz

Par madhur woh sangeet yeh prakriti ka pyaar

Hai akriti banane mai aag giri, sune na aapbeeti, insaan khele saap-seedhi

Zeher ghole duniya mein, chadhe upar tak

Wajood mera maara toh na hota dard

Shuru hote beej se aur raakh hote antt mein

Aisa kaunsa jeev jo na jeeta hai sangharsh mein?


[Refrain 2]

Waah, waah, mai tha andhere mein

Kya-kya kar baitha apne kabze mein?

"Tu bhi jaanwar ajeeb hai

Buddhi jo mili toh khudko beche paisa khichne."

Theek hai, ha, ha, mai maanta hu galti

Hum sab ke paas bohot akkal par na kharchi

Jaha zarurat jahaan ko

Maarte hum jaa rahe jeene ke aadhar ko


[Outro]

Mai tera vehem nahi, teri sachchai hu

Khai mai khet jaha soch ki sichaai ho

Hai bol yeh uske jisse talashta tu

Na toothpick, mai teri antaraatma hu

GRAV