CHEHRE

By Gravity

On 3:16

Released on August 20, 2022

Thumbnail

[Hook]

Hai khule vaadiyon mai khoj tere chehre ki

Dil ki baatein toh sunn lete behre bhi

Aur inn aakhon ko aadat hai kaafi behne ki

Mai sunn na paata par kaafi kuch mujhse keh rahi thhi. (×2)


[Verse: GRAVITY]

Zeher tera barse mujhpe aur mai bhi bheega chalu

Fisalte khwahisho ki hi taraf kyu dheema chalu?

Silsile seeta chalu, pyaar bhi feeka ab

Woh aise dekhe ki tune iss dil ko jeeta kab?

Waise toh hu sharaabi, woh kahe mai peeta rakt

Jaane kyu yu beeta waqt ab na kahi lagta mann

Darr tha tujhe khone ka par khoya maine sab ka sab

Khoya maine sab ka sab, mai bhatka tab....


[Hook]

Hai khule vaadiyon mai khoj tere chehre ki

Dil ki baatein toh sunn lete behre bhi

Aur inn aakhon ko aadat hai kaafi bеhne ki

Mai sunn na paata par kaafi kuch mujhse keh rahi thhi. (×2)


[Verse: GRAVITY]

Lagta tha tu hi jahaan, par saarе gawah ki tu nahi jo lage saamne

Aaine tode kaafi baar tab samjha ki kaun khada mere sheeshe ke saamne

Tujhme thhi jo bhi kami woh mujhpe ilzaam

Aur mai bina wajah bas gatakta jaam

Ab ban baitha sharaabi tere hi naam ab tu de mitaake

Tune mujhe banaya apna, ehsaas diya parayepan ka

Uss waqt mujhe kuch bhi na samjha, mai bhi tha khoya aur tanha

Jab mila tera saath, woh lamha, hu rakhta mai yaad har lamha

Har din, har minute, har ghanta, tere saath beeta waqt madhdham tha

Par ab yeh waqt gaya tham sa aur tu bhi na saath toh sab lage khaali-khaali

Aankhein lagti meri bhaari-bhaari, todta dum mai baari-baari

Pyaase ko na de tu paani bas de yeh madeera ya teri mohabbat ki bheekh

Ghut raha dum hai akele mai, bas mere seene mai lag rahi teri kami


[Hook]

Hai khule vaadiyon mai khoj tere chehre ki

Dil ki baatein toh sunn lete behre bhi

Aur inn aakhon ko aadat hai kaafi behne ki

Mai sunn na paata par kaafi kuch mujhse keh rahi thhi. (×2)