3:16

By Gravity

On 3:16

Released on August 5, 2022

Thumbnail

[Verse: GRAVITY]

Raat ke 3 bajke 16 minute, 16 saal ki umar se dikhta waqt yehi

Saaransh mera prashna chinha, Kaarkhana ke samay lagta tha sab sahi

Par ab na jaa sakta uss waqt mai, kheech le aau woh waqt yahi

Jawaani lagti khokhli, bachpana lagta sach nahi

Kyuki bachpan na jeeya sahi se, tha mai kamzor dil, sharif sa

10 kadam chalne pe paeron ki nas ne khicha

Bachpan se dard hai seekha, logon ko marte dekha aur unko khona seekha

Na jeb mai khota sikka aur na khot rakh ke jeeta

Kalam pakad na paata fir bhi likhta tha kavita aur kahaniya...

Unn lamho ne sambhal liya, thhe haath dukhte bohot fir bhi likhta apni Gita

Bina aaine ko dekh khudko jaanu, bhula na woh raatein jab mai maut apni chaahu

Bhula na woh din jab sab haste mujhpe khulke ab mai paas se jo guzru unke hosh le udd jaau

Sangeet pe hai Sky, aakhon mai baadal baras aaye

Ek waqt tha, papa ne apni jaan deni chaahi

Mai zindagi ki roshni mai unki hi parchchaai


[Refrain]

Sach hai sahi

Inn kagaazon mai

Hum hai yahi

Likhawato mai

Khush hai nahi

Aise raasto pe

Par beh rahi, beh rahi, beh rahi main...


[Verse 2: GRAVITY]

Palatta hu kitaab apni, mai bohot khushnaseeb hu

Maine dekhi itni baar maut, ab mai khauf se tehzeeb lu

Apne tareeko se na aata baaz, kitni baar tha mai laparwah

Zimmedari ka saafa baandh, chhodu piche ateet ko

Hamesha chhota ghar tha, par na chhote thhe sapne

Hum na lautenge socha, ab chalte hum apneepath pe

Mujhpe na koi mukadme, par jo bhi kaatte thhe raste

Yeh na padh sake insaan, kya samjhenge partein

Samajh aaya ki jeevan filmo se zyada dilchasp hai

Tabse ban gaye kirdaar har din khudke dil bharne

Apne sukh mai kin-kin ne tha bhula woh ehsaas

Par jab dukh aata bharke tab atak jaati hai saans

Lagti ladne, aakhon se bana rahi hai jharne

Seene mai hai dhua, bante chhalle, bharte panne

Waqt tham sa gaya jabse hum bhi lag gaye badhne

Ho karzein sarpe bhaari tab na din guzarte padhke

Kal thhe ladke, aaj hum aadmi, iss baat se niraash hi

Ummeed karta aane waale din na mere aakhri

Har ek saans, har ek shabd hai jawabdaari

Chaandni hai raat, humein aaj kahi bhaagna nahi

3:16