Released on June 8, 2025

Thumbnail

Shukraguzaar hu us aurat ka jisne mujhe pyaar sikhaya

Ek ne dil khol ke pyaar diya doosri ne mujhe badlaav sikhaya

Ek se jawab dena seekha, doosri ne har jawab pe sawal uthaya

Aur galat nahi hoga ye kehna, mujhe dono ne kalakaar banaya

Ek se rishte aaj bhi hain, doosri ne mujhpe jazbaat gawaya

Ek ki kishtein baaki hain, doosri ne poora udhaar chukaaya

Ummeedein dono ko thi mujhse, par unka aadhar alag tha

Ek ne had mein rakha mujhe, doosri ne had se aazad karaya

Par pyaar barabar kiya dono se, bas dono ke maine alag the

Main yaad barabar kiya dono ko par dono ke dayre alag the

Ek rone ko kandha deti, doosri ki god mein jannat

Ek jeene ki mansa deti, doosri jeene ka maqsad

Mera sath barabar diya dono ne, bas dono ke kayde alag the

Ek samajhti thi mujhko, doosri samjhaya behtar karti thi

Ek sambhalti thi mujhse, doosri sambhaala behtar karti thi

Naraazgi dono ko thi mujhse, main manaata ek ko tha

Ek ko aadat thi meri, doosri mere bin guzaara behtar karti thi

(Music)

Main dono ka hu, par dono mujhe apna eklauta kehti hain

Ek bigadne se rokti, doosri sudharne ka mauka deti hai

Dono ko naaz mujhpe barabar hai

Ek ke liye sabse zaroori main, doosri mujhe sabse ooncha auda deti hai

Main ek se roothta hu to doosri se dilasa maangta hu

Ek se door jaau hu to doosri se aasra maangta hu

Dono ka hi saath ghar ka ehsaas karata hai

Bhatakne lagu to ek mera hath thaamti hai, doosri se raasta maangta hu

Vo yaad sab rakhti hain bas galtiyaan meri bhoola karti hain

Pyaar kam zyada hota hai par dhyaan mera poora rakhti hain

Ye rishta itna gehra hai ke samajhna mushkil hai

Samman itna karti hain ke mujhe bhagwaan samajh ke pooja karti hain

Mujhe halaat se zyada ek aurat ne badla hai

Mera Bhagwan se zyada ek aurat pe karza hai

Aur jo nakaare is baat ko vo mard nahi hai hoga

Ke Brahmaand mein sabse ooncha ek aurat ka darza hai

(Music)