[Spoken]
Maine dekha main kho gayi hoon
Chaaron taraf andhera hai
Itna ghera aur bhaari
Jaise uske bojh ke neeche main dabbi jaa rahi hoon
Haath uthaane ki koshish karti hoon, haath nahi utthte
Chillaane ki koshish karti hoon, lekin koi awaaz nahi nikalti
Tumhe aisa kabhi hua hai?
Aisa lagta hai jaise ki, jaag rahi hoon
Mujhe sab dikhayi de raha hai
Magar haath pair aur jism apne control mein nahi
Ajeeb si feeing thi
Bohot ghabraahat hone lagi mujhe
Aur badan bilkul dheela padh gaya
And suddenly
Maine dekha ki main ek, main ek kamre mein hoon
Ek chhota sa kamra
Chhota, jiski chhat bohot neechi thi
Neechi aur seedhi
Raakh si putli hui deewarein
Kahin koi khidki nahi
Sirf ek [?]
[Chorus: Karanjit Singh]
Koyaliya kahe main udna chaahoon
Koyaliya kahe main udna chaahoon
Koyaliya kahe main udna chaahoon
Koyaliya kahe udna chaahoon
[Spoken]
Toh doosra kamra bhi vaisa hi tha
Kahin khidki nahi
Raakh si putli deewarein
Maine ek, ek aur darwaza khola
Aur main darwaza kholti gayi kholti gayi kholti gayi aur
Aur har baar vaisa hi kamra aata gaya mere saamne
Aur phir achaanak jab maine darwaza khola toh
Uske peechе kuch bhi nahi
[Verse: Karanjit Singh]
Tukde tukde
Tukde tukdе din beeta
Dhajji dhajji raat mili
Jiska jitna aanchal tha
Utni hi saugaat mili
Jo bhi chaaha is dil ne
Uski hi barsaat mili
Tukde tukde
[Spoken]
Bilkul aisa hi mehsoos ho raha hai mujhe
Main wahan hoon
Aasmaan mein
Bheed bhadakke se bohot upar
Ek aisi umang bhari anubhuti aayi
Ki main aisa kar sakti hoon
Maine santulan kaayam rakha hai Prabha
I'm balancing beautifully
[Chorus: Karanjit Singh]
Koyaliya
Koyaliya