Andha Kanoon

By COM.Ü.L

Released on November 6, 2020

Thumbnail

Tarazoo me ab bhi ye baigan ich tolte

Masoomo ke aasoo mai har saas bhigote

Andhe randwe ku bol aankha khol ke dekh

Jo chalaan se gharib ka kachcha ghar gir jaana

Usse nawab ki aulad ku dhakka bhi nai lagna

Kya pakka tera drama

Kya nanga tera drama

Itti nafrat hai humse toh ek baar me maar dena

Humku kyu hallu jalaneka

Zindagibhar

Andhe randwe ku bol aankha khol ke dekh

Jab har insaan ki samajh alag

Jab taaqat alag zaroorat alag

Toh kanoon kyu hai ek?


[Chorus]

Ye hai andha kanoon

Sawaal hai gharib ke haqq ka toh rahinga inhe hakka bakka

Ye langda kanoon

Bhadda dhabba nahi samajtha jazba

Jeene mai nahi bachna junoon

Bakre ki zindagi phir kutte ki maut marke

Poora karna iska usool

Andhapan sawaab hai kufr har sawaal hai

Aisa hai apna kanoon

Sher ku daale billi ki pyaali mai ghode ki ghaas

Paise wale leech kheeche seene se saans

Kiski zarurat kya hai, kisiku nai malum

Khargosh ke bistar mei daale ino bhaalu ku

Slalekum Sahib

Chhoti shikayat hai aapse hai ijaazat hai toh kartau

Do saal pehle ek hafta the jail mei inho

Aaj bhi bistar mei kaapte ino

Woh kaisa jurm tha woh kaise zulm tha

Kyu bhugatre sazaa aaj bhi ino

Family mei baithe toh bhi aankh inke door hai

AC room mei bhi inku nai sukoon hai

Garmi hai dimaag mei, patthar ka bistar

Laakho ki taadaat mai machchar jism par

Ye yaad hai

Inki haqeeqat banke jail thairi ya pe

Madhoshi ka inki kidhar ilaaj hai

Haalat ke bas ab aap zimmedaar hai

Bas chala mera toh aapki jail ku aag lagadu

Jaanwar haiwaan ku bhi aazad karadu

Ye deewaro se nikalke koi paak nai hua re

Mujrim ke bharte bas dimaag mei dhua re

Insaaf ka ghar nai ye zulm ka kuwa hai

Jisme dalit musalman ku tum kutte dubaye

Wardi-wale dost nai tumme bharewa guroor hai

Parliament ke saap mile toh muo pe thooku mai

Kya hai jadd, kya hai hal, samajhme nai aaya

Andha banaya tera andha kanoon


[Chorus]

(Instrumental interlude)

Pandit ki saubat mei hum

Nangi-nasal waale kaisa ab jeena

Uski badti so daulat hum

Rangeen sapne dekhke kaisa taanna apna seena

Hum toh nangi-nasal

Unhe sanghi assal

Unhe masjid giraya to bhi dabake inaam hai

Hum ghar banane chale toh bulldozer tayyar hai

Haath dhoke pada re

Apne pichche

Sunne mei aara bhot lambe tere haath

Aasan hojana har gully wale ka galla ghotna ek saath