Haiwaan

By AN1K8T

Released on January 10, 2021

Thumbnail

[Hook - An1k8t]

Haiwaan hai saale, saale yeh haiwaan hai shaitaan hai

Pehna bhes sabne bane insaan hai

Hairaan hai, khuda bhi ab hairan hai

Dekha meri banawaat saali nikli bemaan hai

Haiwaan hai, saale yeh haiwaan hai shaitaan hai

Bejubaan ki lete hai yeh jaan hai

Khuda bhi ab hairan hai

Pakda sir baitha wo bhi ab pareshaan hai


[Verse 1- An1k8t]

Kya kasoor tha uski jisne li gale mein faasi

Kya kasoor tha jiski inhone jaban thi kaati

Inki maati mein hi neechta aur khot

Wo ravan bechaara toh yu badnaam hai

Phir gayi haar

Kare bade vade phir kiya inkaar

Insaaf ki ladai ladi, pad gayi chaar

Gaya jo khilaaf, band uski awaaz

Mehfuz nahi koi aurat

Bhari padi gharpe daulat

Kaise bhi aaye naubat

Bus bani rahe shaan aur shaukat

Tu baat karte bhagwaano ki par harkat kar shaitaano si

Tu pooja kar bhagwaano ki laashe bicha bechaaro ki

Mandir bana bhagwaano ke akhir kab tak yeh maanogey

Waha pe naa milega wo jaha pe zulm hai saalo se


[Hook - An1k8t]

Haiwaan hai saale, saalе yeh haiwaan hai shaitaan hai

Pehna bhes sabnе bane insaan hai

Hairaan hai, khuda bhi ab hairan hai

Dekha meri banawaat saali nikli bemaan hai

Haiwaan hai, saale yeh haiwaan hai shaitaan hai

Bejubaan ki lete hai yeh jaan hai

Khuda bhi ab hairan hai

Pakda sir baitha wo bhi ab pareshaan hai


[Verse 2- XR]

Sab shaant suni cheekein do

Ek jaan gayi ek nayi aayi wo

Bolti na jo par bolti na kyu

Bol hi kyu diye jab bolti thi wo

Sochti bohot fir soti na wo

Thi galti kiski par roti thi wo

Chhoti akal teri hoti na to

Na bujti gayi kabhi jyoti thi jo

Khoti niyat kahe haiwaaniyat

Har baar baar baar par hui hadd

Hal na sawaal ka excuses hai but

Gender equality hain huh what??

Thekedaar bane karne paar chale

Bharli jeb par na pehredaar khade

Feminist bhi pseudo aadhe ye

Baised thoughts kya hi udhar kare

Vaar kare dharmo pe na kalakaar dikhe

Gaano mein jinke bus tiraskaar bikke

Bazaar bikke izzat chehre lachaar

Kaha nikle suraj yahan bus andhkaar dikhe

Kaise kaise ab badle harkat

Na jaane kab teri honi barkat

Kya hogi poori jo uski hasrat

Dikhegi kab chehre pe farhat

Kehte kehte waqt thak gya

Na badla kuch bus rakht gya

Khuda bhi hoga haan sochta

Naa jaane main kya rach diya

Kehte kehte waqt thak gya

Na badla kuch bus rakht gya

Khuda bhi hoga haan sochta

Naa jaane main kya rach diya


[Hook - An1k8t]

Haiwaan hai saale, saale yeh haiwaan hai shaitaan hai

Pehna bhes sabne bane insaan hai

Hairaan hai, khuda bhi ab hairan hai

Dekha meri banawaat saali nikli bemaan hai

Haiwaan hai, saale yeh haiwaan hai shaitaan hai

Bejubaan ki lete hai yeh jaan hai

Khuda bhi ab hairan hai

Pakda sir baitha wo bhi ab pareshaan hai