Manzoor

By Aizaad

Released on July 14, 2021

Thumbnail

[Verse 1]

Haule haule sab bhula rahe

Mujhe chaahne waale na rahe

Ab sab kuch raakh hai

Ab sab kuch raakh hai

Mera marna manzoor

Kisey nahi hoga pata

Mai chahe kal na rahun

Mera ab kuch nhi pata

Karna tum bs itna yaad rakhna meri baaton ko

Rona na koi agar mera hoga saga koi

Tum sab jaante ho rona mujhe nahi pasnd

Hojana khush yaad rakhna meri ankh ko

Kehti hai boht kuch yeh bhi tum jaante ho

Viraane huye nhi hone waaley raaste hai

Mere halaat nahi aur mai shyd jee na sakun

Mai jaane wala hun mai

Mai jaane wala hun mai

Mai jaana wala hun pehlay hi bta du tumhe

Mai jaana wala hun pehlay hi bta du tumhe


[Bridge]

Jeelo jo pal hai sang tumhare

Kahaniyan bann gayi

Beeti huyi zindagi

Beeti huyi zindagi


[Verse 2]

Likhne laga kuch naya

Jispe ho zor bhi mera

Banjaye reet bhi nayi

Mehnat ka fal bhi mil raha

Par kal ko mai hi na raha

Toh fir bhi jeet hai meri

Toh fir bhi jeet hai meri

Toh fir bhi jeet hai meri

Jo kalko mai hi na raha

Jo kalko mai hi na raha

Jo kalko mai hi na raha

Jo kalko mai hi na raha


[Verse 3]

Par mai khush hun jee raha bache huye pal

Jo sachi baatein hai unpe krta amal ab

Likhta har koi mai toh keh deta hun baatein bs

Mera kya haal hai behan bhai jaane bs

Kitna araam mujhe kya hai haram mujh mein

Mere kya aib hai mujh mein kya kehar

Maine kya seekha hai maine kya likha hai

Kam jaane dost mere

Anjane dost mere