Facts

By Aizaad

Released on October 18, 2021

Thumbnail

[Verse 1]

School mein taur thi

Bahar nikle pooche na koi

Kya mujhe karna har koi puchey yehi

Kya sab khilaaf hai ya koi sath hai

Puzzle yeh duniya saari na pasnd dosti

Mujhe chordo akela na karo tang mujhe

Bheed se alag hun ghoorey tabhi akal mand

Jo mai aaege aaya makari kala unki band

Band woh aaj hai band woh kal bhi

Baney woh jigre waale mere aagey kakh nai

Mai na dhamkaane aaya mai toh kehra sach bhai

Aagey sawal dekho mai toh chaahun mai toh sach bhai

Kahan hai ache din marey saare changey din

Kaam na ayaa koi mandir masjid dharm tirath

Lardna jayaz nahi hai dharamo ke naam pe

Insaaniyat hai hi nhi ispe ab sawal hai

Insaaniyat hai hi nhi ispe ab sawal hai


[Hook]

Chalo hum karte hai aaj sawaal ek

Lardte hai aaj chalo apne halaat se

Chalo hum karte hai aaj sawaal ek

Lardte hai aaj chalo apne halaat se

Apne halaat se

Lardte hai aaj chalo apne halaat se


[Verse 2]

Kasm iraade hai mai banu khudke liye real

Khushiyan failadu rakhun art ko bhi apne real

Behtar hua jo saarey jhuttey mujhse door

Mera kasoor nhi bchpn se hi muhfat hun

Kaisa zamana budhey young zyada youngster se

Ankhon mein galat niyat fir bhi lete satkaar

Woh rapist zinda ghumein aisa kyun hai sarkaar

Socho yeh saari baatein desh waalo karo vaar

Mai shayad lagu bore par mera yehi hai role

Mai sach btaane aaya sabko jagaane aaya

Moh maya wali apno ki nind se

Utho zara aur aas paas dekho thik se

Kisi ki maa gayi hai kisi ki beti bhi

Woh pehnay khaki wardi sabse bda gunda wahi

Mujhpe zara gaur karo lene mai views nahi aaya

Dene mai views aya jo ki sachey hai

Aur jo dikhney bhi chahiye

Aisa na ho kahin aap unki jagah aap khudko paaiye


[Chorus]

Geeton ki barkha se barse hai sach

Bachpan se laahu dekha tabhi likhey rakt

Geeton ki barkha se barse hai sach

Bachpan se laahu dekha tabhi likhey rakt

Bachpan se laahu dekha tabhi likhey rakt

Bachpan se laahu dekha tabhi likhey rakt