[Verse 1]
Meri soch ke wajood
Mein bhatka roz
Nayi gali gali ki khoj
Mein lage mere pores
Mere flows ke flaws
Mein chaotic chords
Gaur se dekh mere forms
Confirmed, I don't conform
Taur bina swag, son
Basic sa stag, man
Chalta main marathon
Tu khudka jo fan ban
Bhoola saare grand funs
Legends ke songs
Se le thode lesson
Zameen se jode tan
Hai grutuwakashan
Samay pe aaye dhan
Yahi sabka swapan
Aur khaa kasam, khud ka right hand ban
Thoda tashan
Thoda waham
Hustle karo, chhoti zindagi
Bano champion
Champion
Champion
It's a long run
Champion
Champion
It's a long run
[Verse 2]
Gums ki beat mein dum
Daad hai game mein kam
Dhum-dhum ki feel ye maddham
Beat pe bajoon random
Dimaag mein phansa iska rhythm
Have to attack with this word pun
To make a verse and add one
Main high zone, no leash, no demon
Tez meri soch, brain mein hai Ryzen
Badhta Kaizen, full speed risin'
Kar jatan hoke magan
Apne raaz karke dafan
Tu banega khaans
Ye mazaak tera
Aaye na pasand
Apne kaam pe dhyaan
Lagaya maine, pardon
Meri kala pe na taala
Yogie ki thi salah
Bhara vishwash, hua bhala
Suna logon ka falaan falaan
Path zindagi ka chala
Gira ghuta bina gila
Haar ke pal mein pila pela
Launda na kabhee hila
Suna Kaash ka zalzala
Joote mein na filla
Ye Air Max ka silsila
Hip hop se main mila
Kya khoya, kya paaya
Zinda Knuckle ka saaya
Kashmakash mein fansaya
Kabhee bayaan na kar paaya
Dard ne mujhe khaaya
Duniya ne naa apnaya
Logon ki kahaani mein
Khud ko tha dafnaaya
[Verse 3]
Behrampur ki basti mein
Behra tha ek masti mein
Behta woh sasti kashti mein
Berahami se uski bajti hai
Woh asptaal mein bharti hai
Haanthon mein leke battisi
Maango mein uske batti bhee
Talab buzdil ki bhabhakti thee
Ke masti mein ek kash jee le
Har raste gale mein phande hain
Grihasti padi hai raste pe
Brihaspati bina ye kismat hai
Koi murshid nhi, sirf wahshat yahaan
Bharam hai raahaton ka jahaan
Jaayaz sirf chaahaton ka makaan
Zindagi jiye rank ki ya ban jaa tu mahaan
Kyun na bayaan ho teri dastaan
Kabhee kahaani tu apni bhee suna
Logon ko mehsoos ho teri ilteja
Keh apne intezaar ke intehaan
Tu bhee hai ek insaan
Tere bhee sawaalon ka hai majma
Haq se puchh, na reh tu sehma
Jawaab denge ye satta ke mehmaan
Ke kyun ujde sirf tera gulistaan
Tujhe bhee mile woh sukoon, woh araam
Zeher mein jeete jeete kyun tujhe hai marna
Baraabri ke bas waade, bina intezaam
Ye masla bada ajeeb hai
Teri zindagi kisi aur ki taabeer hai
Teri haqeeqat numaish-e-haazir hai
Pata nhi kaise chup-chaap tu raazi hai
Fuck it
[Verse 4]
Behra bane main baitha thaa
Chance nahi mere fair zyaada
Tu bane ghoome shehzaada
Gyaan deta mujhe chehkaataa
Shaadi mein mere naa sehra thaa
Biwi ki gaaliyaan bhee seh rhaa thaa
Paise kamaane kaa pehraa thaa
Kismat ko kostaa kyun main thehraa thaa
Tune naa dekha meraa chehra thaa
Ladne ki baatein mujhe keh rhaa thaa
Jo woh teraa mera mehmaan thaa
Usse maine hee bithaayaa uss chair pe, haan
2 bottle mein bikaa imaan saara
Naali mein giraa meraa haath saala
Kaalikh se chhaapa ek paper thaa
Woh bana 5 saal ka mera lekhaa thaa
[Outro]
Main aaj zindaa hoon
Main kal mar jaaoon
Mere shok samaaroh mein koi aansu naa bahaaye
Aur chaar log aate hain
Khaana khaane aate hain
BC