Main aaya dekh all of a sudden
Khaya do chaar rapperon ko danto me sadan
Jaga poori raat meri aankhon me jalan
Hu main bamanno ka balak karu shraapon me khatam
Hu main Rishi vashisth, vishy sanishth
Kisi vishishth, kavi sa nishth
Kabhi main dwishth, Karu anishth
Chal bahar nikal na phir se dikh
Ye kuchle gaye par yaha pe kumbh nahi chal raha
Inki soch hai dooshit dilli ki yamuna
Jane kitna mushkil public ko sun na
Ya phir behre ho gaye neta sare kare acting umdha
Par janta nahi hai andhi
Bhala kare desh ka na koi vampanthi
Koi kattar imaandar ya phir ho koi sanghi
Yaha sare ke sare hai papi, jhoothe, chor, dambhi
Sarkaren hai andhi, apangi, adhnangi, aadambi
Koi kare burai to bhejen ye dhamki
Bana lenge bandhi
Ye hai koi democracy hu main achambhit
Am I audible, to phir sunte kyon nahi log
Inke matri ji mareech hai jo bhesh badle roz
Samjhe khud ke baap ka ye dеsh badle roz
Phoote chote chotе muddon pe khokhla Inka krodh
Abhi sune essi baatein inke ho gaye bhari kaan
Kranti bhari ragon me jaan aayi hai jaan
Khoon mare ubale par
Bhool jayenge jab aayega agla india pakistan
Main vo panchi, jo pinjra Todd ke baitha dali par
Main vo baghi bandar jo hamla kare madari par
Walking to my pen lagu Kam pe nikla Karigar
Kam pe nikla Karigar